kabhi meharban tha to kabhi anjaan tha mera veham tha ya wo mera guman tha day kar zakham wo marham rakhta tha ban raha thaa ya waqai itna nadaan tha mujhse bichar gaya tha wo eik raat wo shaks jo meri pehchaan thaa kash k tum mil jatay hum ko humdum kitna is dil ko is baat ka armaan tha Khuda ko chahate to kuch mil bhi jata hum ne jis ko chaha wo eik insan tha aaj wo be-rukhi bhi karaey to kiya hai? ziada din nahi guzre jab wo meharban tha
Glitter Graphics - GlitterLive.com