Ek dil walon ki basti thi
Jahain chand aur suraj rehtay thay
Kuch suraj maan ka pagal tha
Kuch chand bhi shokh chanchal tha
Basti basti phirtay thay
Her pal hanstay rehtay thay
Phir ek din dono rooth gaay
Aur saray sapnay toot gaay
Ab chand bhi us waqat ata hay
Suraj jab soo jata hay
Badal shab say kehtay hain
Suraj uljha sa rehta hay
Chand kay sath sitaray hain..per
Suraj tanha rehta hay….
…suraj tanha rehta hay